har tamanna dil se ruKHsat ho gai
aaj mustahkam mohabbat ho gai
ban gai bimar-e-gham ki zindagi
un ki jab chashm-e-inayat ho gai
shukriya jo aap aae dekhne
kam se kam jine ki surat ho gai
ghair apne aur apne ghair hain
kya se kya duniya ki haalat ho gai
dekhiye zabt-e-mohabbat ka maal
ashk-e-gham pine ki aadat ho gai
muskurae mujh ko rota dekh kar
aap ki zahir mohabbat ho gai
tum se mil kar itne gham sahne paDe
gham-pasandana tabiat ho gai
jin ka 'sajid' umr-bhar kahna kiya
ab unhin ko hum se nafrat ho gai
Ghazal
Har tamanna dil se ruKHsat ho gai
Sajid Siddiqi lakhnavi