har talKH haqiqat ka izhaar bhi karna hai
duniya mein mohabbat ka parchaar bhi karna hai
be-KHwabi-e-paiham se bezar bhi karna hai
basti ko kisi surat bedar bhi karna hai
dushman ke nishane par kab tak yunhi baiThenge
KHud ko bhi bachana hai aur war bhi karna hai
shaffaf bhi rakhna hai gulshan ki fazaon ko
har barg-e-gul-e-tar ko talwar bhi karna hai
kanTon se ulajhne ki KHwahish bhi nahin rakhte
phulon se mohabbat ka izhaar bhi karna hai
is jurm ki nauiyyat malum nahin kya hai
inkar bhi karna hai iqrar bhi karna hai
hone bhi nahin dena bohran koi paida
moqif pe hamein apne israr bhi karna hai
tai lamhon mein kar Dalen sadiyon ka safar lekin
is rah ko ai 'ruhi' hamwar bhi karna hai
Ghazal
Har talKH haqiqat ka izhaar bhi karna hai
Roohi Kanjahi