har talabgar ko mehnat ka sila milta hai
but hain kya chiz ki DhunDhe se KHuda milta hai
waqt par kaam na aaya dil-e-nashad kabhi
TuT kar ye bhi usi shoKH se ja milta hai
wo jo inkar bhi karte hain to kis naz ke sath
mujh ko milne mein na milne ka maza milta hai
ye kudurat ye adawat ye jafa KHub nahin
mujh ko miTTi mein mila kar tumhein kya milta hai
'nuh' hum ko nazar aaya na yahan but bhi koi
log kahte the ki kabe mein KHuda milta hai
Ghazal
Har talabgar ko mehnat ka sila milta hai
Nooh Narvi