har-su jahan mein sham o sahar DhunDte hain hum
jo dil mein ghar kare wo nazar DhunDte hain hum
in bastiyon ko phunk ke KHud apne hath se
apne nagar mein apna wahi ghar DhunDte hain hum
juz reg-zar kuchh bhi nahin ta-hadd-e-nigah
sahra mein saya-dar shajar DhunDte hain hum
taslim hai ki juDta nahin hai shikasta dil
phir bhi dukan-e-aina-gar DhunDte hain hum
jis ki ada ada pe ho insaniyat ko naz
mil jae kash aisa bashar DhunDte hain hum
kuchh imtiyaz-e-mazhab-o-millat nahin hamein
ek mo'tabar rafiq-e-safar DhunDte hain hum
is daur mein jo fan ko hamare parakh sake
wo sahab-e-zaban-o-nazar DhunDte hain hum
hath aaega na kuchh bhi ba-juz sang-e-be-bisat
uthle samundaron mein guhar DhunDte hain hum
'ajiz' talash-e-shama mein parwane mahw hain
hairat unhen hai un ko agar DhunDte hain hum
Ghazal
Har-su jahan mein sham o sahar DhunDte hain hum
Ajiz Matvi