har su hai tariki chhai tum bhi chup aur hum bhi chup
kis ne aisi shama jalai tum bhi chup aur hum bhi chup
kis jaanib hai apni manzil dorahe par aa pahunche
kis ne aisi rah batai tum bhi chup aur hum bhi chup
dasht-e-tapan mein jaane kab se dil ne di hain aawazen
koi bhi aawaz na aai tum bhi chup aur hum bhi chup
rah kisi ki takte takte tare bhi ab rakh hue
subh ki dewi bhi muskai tum bhi chup aur hum bhi chup
dard ke be-payan sahra mein dur talak hai sannaTa
zaKHm-e-dil ne li angDai tum bhi chup aur hum bhi chup
Ghazal
Har su hai tariki chhai tum bhi chup aur hum bhi chup
Aslam Azad