har sitam lutf hai dil KHugar-e-azar kahan
sach kaha tum ne mujhe gham se sarokar kahan
dasht-o-sahra ke kuchh aadab hua karte hain
kyun bhaTakte ho yahan saya-e-diwar kahan
baada-e-shauq se labrez hai saghar mera
kaise azkar mujhe fursat-e-afkar kahan
kyun tere daur mein mahrum-e-saza hun ki mujhe
jurm par naz sahi jurm se inkar kahan
rah-raw-e-shauq hai begana-e-manzil warna
kucha-e-dar kahan kucha-e-dildar kahan
sochte kya ho jalate raho zaKHmon ke charagh
dekhte kya ho abhi subh ke aasar kahan
tum ko chaha tha magar tum bhi wafa-dost nahin
dil pe takiya tha magar dil bhi wafadar kahan
yun to har gam pe gham-KHwar mile hain 'taban'
jo mere gham ko samajh pae wo gham-KHwar kahan
Ghazal
Har sitam lutf hai dil KHugar-e-azar kahan
Taban Ghulam Rabbani