اردو हिंदी
Har sher ko gulab kiya kya ghalat kiya | Shaahi Shayari
har sher ko gulab kiya kya ghalat kiya

Ghazal

Har sher ko gulab kiya kya ghalat kiya

Khalid Yusuf

;

har sher ko gulab kiya kya ghalat kiya
han tera intiKHab kiya kya ghalat kiya

raunda nahin kabhi kisi jugnu ko zer-e-pa
zarre ko aaftab kiya kya ghalat kiya

lab par har ek shaKHs ke thi maslahat ki mohr
hum ne hi kuchh KHitab kiya kya ghalat kiya

jo mawara-e-zehn-e-faqihan tha wo gunah
us ka bhi irtikab kiya kya ghalat kiya

kab tak pisenge zulm ki chakki mein mere log
elan-e-inqalab kiya kya ghalat kiya

jo dushman-e-awam the nafrat unhin se ki
aur ishq be-hisab kiya kya ghalat kiya

is aas mein ki sab ko mayassar ho sukh ki nind
qurban har ek KHwab kiya kya ghalat kiya

aaya adab bara-e-adab ka KHayal jab
likhne ka band bab kiya kya ghalat kiya

'KHalid' rahe na sab ki tarah bas qalam quli
zulmat ko be-naqab kiya kya ghalat kiya