har shakl rafta rafta anjaan ho gai hai
mushkil thi jo bhi jis ki aasan ho gai hai
kahna na kuchh kisi se chup chup se takte rahna
aaKHir yahi hamari pahchan ho gai hai
ek shaKHs bhola-bhaala basti ki puchhta hai
kaise kahun ki basti viran ho gai hai
jo tha raha na kuchh bhi jo hai na jaane kya hai
so ab yahan se ruKHsat aasan ho gai hai
pahle the hum hi hairan hum sa nahin hai koi
aur ab to sari duniya hairan ho gai hai
aisi chahal-pahal thi mushkil se lauTte the
yaadon ki wo gali ab sunsan ho gai hai
bas 'talKH' ki rawish thi ab tak baghair unwan
ab is rawish ka duri unwan ho gai hai
Ghazal
Har shakl rafta rafta anjaan ho gai hai
Manmohan Talkh