har shaKHs pareshan hai ghabraya hua hai
mahtab baDi der se gahnaya hua hai
hai koi saKHi is ki taraf dekhne wala
ye hath baDi der se phailaya hua hai
hissa hai kisi aur ka is kar-e-ziyan mein
sarmaya kisi aur ka lagwaya hua hai
sanpon mein asa phenk ke ab mahw-e-dua hun
malum hai dimak ne use khaya hua hai
duniya ke bujhane se bujhi hai na bujhegi
is aag ko taqdir ne dahkaya hua hai
kya dhup hai jo abr ke sine se lagi hai
sahra bhi use dekh ke sharmaya hua hai
israr na kar mere KHarabe se chala ja
mujh par kisi aaseb ka dil aaya hua hai
tu KHwab-e-digar hai teri tadfin kahan ho
dil mein to kisi aur ko dafnaya hua hai
Ghazal
Har shaKHs pareshan hai ghabraya hua hai
Faisal Ajmi