har shaKHs ko aise dekhta hun
jaise kahin dur ja raha hun
dekhi hi nahin KHizan ki surat
kis gulshan-e-shauq ki hawa hun
KHud apni nigah se hun ru-posh
aaina hun jahan-numa hun
be-nur hui hain jab se aankhen
aaine talash kar raha hun
na-qadr-shanas jauhari ko
rahon mein paDa hua mila hun
jab raat ki zulf bhigti hai
sannaTe ki tarah gunjta hun
is daur-e-KHizan-nasib mein bhi
kaliyan si khila khila gaya hun
aankhon mein wahshaten rachi hain
KHwabon mein bhi KHak chhanta hun
hai chehra jo dagh dagh apna
har aaine se KHafa KHafa hun
talwar pe raqs ka natija
jab panw kaTe to sochta hun
parda-e-saba na KHauf-e-sarsar
KHakistar-e-yas par khila hun

Ghazal
Har shaKHs ko aise dekhta hun
Sadique Naseem