har shaKHs is hujum mein tanha dikhai de
duniya bhi ek ajib tamasha dikhai de
ek umr qat-e-wadi-e-shab mein guzar gai
ab to kahin sahar ka ujala dikhai de
ai mauja-e-sarab-e-tamanna sitam na kar
sahra hi samne hai to sahra dikhai de
main bhi chala to pyas bujhane ko tha magar
sahil ko dekhta hun ki pyasa dikhai de
alfaz KHatm hon to mile rishta-e-KHayal
ye gard baiTh jae to rasta dikhai de
kaun apna aks dekh ke hairan palaT gaya
chehra ye mauj mauj mein kis ka dikhai de
tu munkir-e-wafa hai tujhe kya dikhaun dil
gham shoala-e-nihan hai bhala kya dikhai de
har shab dar-e-KHayal pe Thahre wo ek chap
har shab fasil-e-dil pe wo chehra dikhai de
lab-bastagi se aur khile ghuncha-e-sada
wo chup rahe to aur bhi goya dikhai de
'aslam' gharib-e-shahr-e-suKHan hai kabhi milen
kahte hain aadmi to bhala sa dikhai de
Ghazal
Har shaKHs is hujum mein tanha dikhai de
Aslam Ansari