har shaKHs apne aap mein simTa hua mila
har ek sochta hai mujhe kis se kya mila
is shahr mein guzarta ek umr aur main
wo to ye KHairiyat hui banda bhala mila
ya to raha hun KHud se hi mahw-e-kalam main
ya phir mujhi sa koi mujhe dusra mila
aaise meri sada ne taaqub kiya mera
jaise main KHud ko chhoD ke auron se ja mila
kuchh ajnabi se chehron ko kal dekhte hue
yaadon mein aisa kho sa gaya KHud se ja mila
manga jo ek bhiD ne kal mujh se rasta
dekha to main hi rah mein bikhra hua mila
kyun 'talKH' tujh ko kaisa laga waqt ka chalan
andar se koi ajnabi jab TuTta mila
Ghazal
Har shaKHs apne aap mein simTa hua mila
Manmohan Talkh