اردو हिंदी
Har shajar ke tain hota hai samar se paiwand | Shaahi Shayari
har shajar ke tain hota hai samar se paiwand

Ghazal

Har shajar ke tain hota hai samar se paiwand

Gulam Yahya Huzur Azimabadi

;

har shajar ke tain hota hai samar se paiwand
aah ko kyun nahin hota hai asar se paiwand

dekhna zor hi ganTha hai dil-e-yar se dil
sang-o-shishe ko kiya hai main hunar se paiwand

mizha-e-KHun-e-dil aaluda pa ye hai qatra-e-ashk
yun hai jyun shaKH ho marjaan ki guhar se paiwand

mil raha hai tere aariz se KHat-e-murcha ye
jaise aaine ke jauhar ho jigar se paiwand

sozish-e-ashk se malum ye hota hai mujhe
qatra-e-ab bhi hota hai sharar se paiwand

than zarbaft ke hote the jahan qata 'huzur'
jin ki poshak sada hoti thi zar se paiwand

ab phaTa jama gazi ka nahin gar hai bhi koi
tu nikale ko nikalta nahin ghar se paiwand