har shai wahi nahin hai jo parchhaiyon mein hai
is ke siwa kuchh aur bhi gahraiyon mein hai
aaina jis se TuT ke be-ab ho gaya
wo aks-e-be-nawa bhi tamashaiyon mein hai
fursat mile to main bhi koi marsiya likhun
ek dasht-e-karbala meri tanhaiyon mein hai
kis shahr mein talash karen rishta-e-wafa
sunte to hain purani shanasaiyon mein hai
dariya ke zor-o-shor pe baaten hazar hon
pani magar wahi hai jo gahraiyon mein hai
ghul jae sher mein to zamin aasman bane
wo husn-e-la-zawal jo sachchaiyon mein hai
bekar us ko ahl-e-wafa mein gina gaya
'nami' kahan se aap ke shaidaiyon mein hai

Ghazal
Har shai wahi nahin hai jo parchhaiyon mein hai
Nami Ansari