اردو हिंदी
Har shai tujhi ko samne lae to kya karun | Shaahi Shayari
har shai tujhi ko samne lae to kya karun

Ghazal

Har shai tujhi ko samne lae to kya karun

Shamim Jaipuri

;

har shai tujhi ko samne lae to kya karun
har shai mein tu hi tu nazar aae to kya karun

tham tham ke aankh ashk bahae to kya karun
rah rah ke teri yaad satae to kya karun

ye to batate jao agar ja rahe ho tum!
mujh ko tumhaari yaad satae to kya karun

mana sukun-nawaz hai har shai bahaar mein
tere baghair chain na aae to kya karun

har sher mein suna to gaya hun main haal-e-dil
lekin teri samajh mein na aae to kya karun

ab ishq se ziyaada gham-e-tark-e-ishq hai
ye aag bujh ke aur jalae to kya karun

dil ho gaya hai KHugar-e-bedad ishq mein
un ki wafa bhi ras na aae to kya karun

us sharam-gin nazar ka tasawwur agar 'shamim'
bijli dil-o-nazar par girae to kya karun