har shai mein mujhe kul ka tamasha nazar aaya
qatra liye aaghosh mein dariya nazar aaya
thi shoKH-nigahi kisi zalim ki qayamat
jazbaat ka aalam tah-o-baala nazar aaya
jab aankh khuli wahm bhi tha asl sarasar
jab raaz khula asl bhi dhoka nazar aaya
pahlu mein jo tha dil to faqat KHun ka qatra
aaankhon mein pahunchta tha ki dariya nazar aaya
jab hosh na aaya tha paraya bhi tha apna
hosh aaya to apna bhi paraya nazar aaya
is bazm mein allah-re hairat ka ye aalam
parde ke na hone pe bhi parda nazar aaya
Ghazal
Har shai mein mujhe kul ka tamasha nazar aaya
Qais Jalandhari