har shai ki aqidat se taswir nahin banti
har KHak-e-qadam yaro iksir nahin banti
jab waqt bigaDta hai hota hai jahan dushman
jab baat bigaDti hai tadbir nahin banti
haalat jab insan ko diwana banate hain
haalat ke hathon phir zanjir nahin banti
KHud jehd-e-musalsal se qismat ko sanwaro tum
auron ke banae se taqdir nahin banti
mange hue sikkon ka mear nahin hota
luTi hui daulat se jagir nahin banti
isar batana hai mehrab-e-wafa aksar
isar ke hathon se shamshir nahin banti
ai shisha-garon ab tak aaKHir ye kami kyun hai
aaina banate ho taswir nahin banti
iKHlas ke sanche mein Dhalta hai asar lekin
alfaz ke pahlu mein tasir nahin banti
qismat ke likhe mein kya tarmim karun 'sajid'
majbur hun is jaisi tahrir nahin banti
Ghazal
Har shai ki aqidat se taswir nahin banti
Sajid Siddiqi lakhnavi