اردو हिंदी
Har shai aani-jaani hai | Shaahi Shayari
har shai aani-jaani hai

Ghazal

Har shai aani-jaani hai

Aanand Saroop Anjum

;

har shai aani-jaani hai
jiwan bahta pani hai

hijr ki raaten wasl ke din
ek dilchasp kahani hai

husn hai fani ishq mera
an-miT hai la-fani hai

jo na-ahl hai un hathon mein
phulon ki nigarani hai

rahte ek gali mein hain
donon ko hairani hai

sab chalte hain Dagar Dagar
ek Dagar an-jaani hai

apna hai phir apna lahu
pani aaKHir pani hai

'anjum' teri ghazlon mein
sachche pyar ki bani hai