اردو हिंदी
Har sang mein sharar hai tere zuhur ka | Shaahi Shayari
har sang mein sharar hai tere zuhur ka

Ghazal

Har sang mein sharar hai tere zuhur ka

Sauda Mohammad Rafi

;

har sang mein sharar hai tere zuhur ka
musa nahin ki sair karun koh-e-tur ka

paDhiye durud husn-e-sabih-o-malih par
jalwa har ek par hai mohammad ke nur ka

toDun ye aaina ki ham-aghosh-e-aks hai
howe na muj ko pas jo tere huzur ka

bekas koi mare to jale us pe dil mera
goya hai ye charagh ghariban ki gor ka

hum to qafas mein aan ke KHamosh ho rahe
ai ham-safir faeda nahaq ke shor ka

saqi se kah ki hai shab-e-mahtab jalwa-gar
de basma-posh ho ke tu saghar bilor ka

'sauda' kabhi na maniyo waiz ki guftugu
aawaz-e-duhul hai KHush-aind dur ka