اردو हिंदी
Har samt se uThta hai dhuan shahr ke logo | Shaahi Shayari
har samt se uThta hai dhuan shahr ke logo

Ghazal

Har samt se uThta hai dhuan shahr ke logo

inaam Hanafi

;

har samt se uThta hai dhuan shahr ke logo
ye shahr to tha shahr-e-aman shahr ke logo

diwangi-e-ahl-e-KHirad pahunchi yahan tak
har shaKHs ka chehra hai dhuan shahr ke logo

rifat kise milti hai farawani-e-zar se
kirdar se ho faKHr-e-zaman shahr ke logo

le aai yahan tak hamein kirdar ki pasti
azmat hai na azmat ke nishan shahr ke logo

parwarda-e-iman-o-yaqin hote hue bhi
ye waswasa-e-wahm-o-guman shahr ke logo

phenko na KHamoshi pe meri tanz ke patthar
ab bhi hai mere munh mein zaban shahr ke logo

patthar ki chaTanon se ruka hai na rukega
'inam' hai ek ju-e-rawan shahr ke logo