اردو हिंदी
Har samt pareshan teri aamad ke qarine | Shaahi Shayari
har samt pareshan teri aamad ke qarine

Ghazal

Har samt pareshan teri aamad ke qarine

Faiz Ahmad Faiz

;

har samt pareshan teri aamad ke qarine
dhoke diye kya kya hamein baad-e-sahari ne

har manzil-e-ghurbat pe guman hota hai ghar ka
bahlaya hai har gam bahut dar-ba-dari ne

the bazm mein sab dud-e-sar-e-bazm se shadan
be-kar jalaya hamein raushan-nazri ne

mai-KHane mein aajiz hue aazurda-dili se
masjid ka na rakkha hamein aashufta-sari ne

ye jama-e-sad-chaak badal lene mein kya tha
mohlat hi na di 'faiz' kabhi baKHiya-gari ne