har sans mein KHud apne na hone ka guman tha
wo samne aae to mujhe hosh kahan tha
karti hain ulaT-pher yunhi un ki nigahen
kaba hai wahin aaj sanam-KHana jahan tha
taqsir-e-nazar dekhne walon ki hai warna
un ka koi jalwa na ayan tha na nihan tha
badli jo zara chashm-e-mashiyat koi dam ko
har samt bapa mahshar-e-fariyaad-o-fughan tha
lapka hai bagula sa abhi un ki taraf ko
shayad kisi majbur ki aahon ka dhuan tha
'anwar' mere kaam aai qayamat mein nidamat
rahmat ka taqaza mera har ashk-e-rawan tha
Ghazal
Har sans mein KHud apne na hone ka guman tha
Anwar Sabri