har sans hai sharh-e-nakaami phir ishq ko ruswa kaun kare
takmil-e-wafa hai miT jaana jine ki tamanna kaun kare
jo ghafil the hushiyar hue jo sote the bedar hue
jis qaum ki fitrat murda ho us qaum ko zinda kaun kare
har subh kaTi har sham kaTi bedad sahi uftad sahi
anjam-e-mohabbat jab ye hai is jins ka sauda kaun kare
hairan hain nigahen dil be-KHud mahjub hai husn-e-be-parwa
ab arz-e-tamanna kis se ho ab arz-e-tamanna kaun kare
fitrat hai azal se pabandi kuchh qadr nahin aazadi ki
nazron mein hain dilkash zanjiren ruKH jaanib-e-sahra kaun kare
Ghazal
Har sans hai sharh-e-nakaami phir ishq ko ruswa kaun kare
Dil Shahjahanpuri