اردو हिंदी
Har sans hai ek naghma har naghma hai mastana | Shaahi Shayari
har sans hai ek naghma har naghma hai mastana

Ghazal

Har sans hai ek naghma har naghma hai mastana

Arzoo Lakhnavi

;

har sans hai ek naghma har naghma hai mastana
kis darja dukhe dil ka rangin hai afsana

jo kuchh tha na kahne ka sab kah gaya diwana
samho to mukammal hai ab ishq ka afsana

do zindagiyon ka hai chhoTa sa ye afsana
lahraya jahan shoala andha hua parwana

in ras bhari aaankhon se masti jo Tapakti hai
hoti hai nazar saqi dil banta hai paimana

virane mein diwana ghar chhoD ke aaya tha
jab hoga na diwana ghar DhunDhega virana

afsana gham-e-dil ka sunne ke nahin qabil
kah dete hain sab hans kar diwana hai diwana

jab ishq ke maron ka pursan hi nahin koi
phir donon barabar hain basti ho ki virana

ye aag mohabbat ki pani se nahin bujhti
phir shama se ja lipTa jalta hua parwana