اردو हिंदी
Har roz naya hashr sar-e-rahguzar tha | Shaahi Shayari
har roz naya hashr sar-e-rahguzar tha

Ghazal

Har roz naya hashr sar-e-rahguzar tha

Mohsin Zaidi

;

har roz naya hashr sar-e-rahguzar tha
ab tak ka safar ek qayamat ka safar tha

andaza-e-haalat tha pahle hi se mujh ko
darpesh jo ab hai wo mere pesh-e-nazar tha

sunte hain ki aabaad yahan tha koi kumba
aasar bhi kahte hain yahan par koi ghar tha

tai hum ne kiya sara safar yak-o-tanha
juz gard-e-safar koi na hamrah-e-safar tha

sad haif kai log gae jaan se mere sath
qatil ko to matlub faqat mera hi sar tha

meri hi tarah jaan se guzar kar chale aate
kuchh is se ziyaada to na raste mein KHatar tha

rahta tha kabhi meri nigahon mein shab-o-roz
ek waqt tha jab wo mera mahbub-e-nazar tha

kya wo koi jhonka tha nasim-e-sahari ka
ya rahguzar-e-KHwab pe KHushbu ka safar tha

hum ja ke kahan baadiya-paima hue 'mohsin'
jis dasht mein sabza na kahin koi shajar tha