har roz imtihan se guzara to main gaya
tera to kuchh nahin gaya mara to main gaya
jab tak main tere pas tha bas tere pas tha
tu ne mujhe zamin pe utara to main gaya
ye taq ye charagh mere kaam ke nahin
aaya nahin nazar wo dobara to main gaya
shal ungliyon se tham rakha hai chaTan ko
chhuTa jo hath se ye kinara to main gaya
apni ana ki aahani zanjir toD kar
dushman ne bhi madad ko pukara to main gaya
teri shikast asl mein meri shikast hai
tu mujh se ek bar bhi haara to main gaya

Ghazal
Har roz imtihan se guzara to main gaya
Saud Usmani