har roz hi din bhar ke jhamelon se nimaT ke
ro lete hain hum raat ke aanchal se lipaT ke
hum kaun hain kyun baiThe hain yun rahguzar par
puchha na kisi ek bhi musafir ne palaT ke
kya kya the mere dil ke sahife mein mazamin
dekhe na kisi ne mere auraq ulaT ke
phirte rahe aawara KHayalat ki surat
kya chiz thi hum jis ke liye dahr mein bhaTke
shab karwaTen lete to na guzre kabhi 'munzir'
so jao miyan dard ki bahon mein simaT ke
Ghazal
Har roz hi din bhar ke jhamelon se nimaT ke
Basheer Munzir