اردو हिंदी
Har roz hamein ghar se sahra ko nikal jaana | Shaahi Shayari
har roz hamein ghar se sahra ko nikal jaana

Ghazal

Har roz hamein ghar se sahra ko nikal jaana

Mushafi Ghulam Hamdani

;

har roz hamein ghar se sahra ko nikal jaana
kheton ka maza lena jangal ko nikal jaana

ji kyun na bhala un ki phir bhaun pe lage apna
ek wusat-e-mashrab ke hai sath ye virana

sath pe zamin ki hai ta-hadd-e-nazar sabza
kya sair ka aalam hai apna hai na begana

hum ishq-e-haqiqi ke ye rang samajhte hain
ne laila na majnun hai ne shama na parwana

jis husn ke jalwe hain aarif ki nigahon mein
wo husn banawe hai kabe ko sanam-KHana

diwana-e-shahri to diwar ka saya le
sae mein mughilan ke baiThega ye diwana

ghurbat ke bayaban mein hai 'mushafi' aawara
ai KHizr-e-KHajista pe Tuk rah tu batlana