har raushni ki bund pe lab rakh chuki hai raat
baDhne lage zamin ki taraf tirgi ke hat
jangal khaDe hain bhed ke aur ajnabi shajar
shaKHen nahin salib ki dushwar hai najat
ho ke kabhi udas yahan baiThta to tha
chal ke kisi daraKHt se puchhen to us ki baat
hathon mein gar nahin to nigahon ko dijiye
us sahib-e-nisab-e-badan se koi zakat
in parbaton ke bich thi mastur ek gupha
patthar ki narmiyon mein thi mahfuz kaenat
Ghazal
Har raushni ki bund pe lab rakh chuki hai raat
Wahab Danish