har rasm par nazar ko jhukate hue chale
har iKHtiyar apna miTate hue chale
kuchh un pe e'timad hai kuchh apni zat par
zoam-e-fareb yunhi nibhate hue chale
kitni hikayaten ki zaban tak na aa sakin
zanjir-e-harf un pe sajate hue chale
un ke mazaq-e-did se pai na pai dad
phir bhi harim-e-shauq basate hue chale
jo rah jal gai thi haqiqat ki aanch se
KHwabon ke phul us pe bichhate hue chale
Ghazal
Har rasm par nazar ko jhukate hue chale
Talat Isharat