اردو हिंदी
Har rang-e-tarab mausam o manzar se nikala | Shaahi Shayari
har rang-e-tarab mausam o manzar se nikala

Ghazal

Har rang-e-tarab mausam o manzar se nikala

Aslam Mahmood

;

har rang-e-tarab mausam o manzar se nikala
ek rasta phir sai-e-mukarrar se nikala

chalne lagi har samt se jab baad-e-KHush-asar
ek aur bhanwar hum ne samundar se nikala

deti rahi aawaz pe aawaz ye duniya
sar hum ne na phir KHak ki chadar se nikala

kam paD gai parwaz ko jab wusat-e-aflak
ek aur falak apne hi shahpar se nikala

hum dil se rahe tez hawaon ke muKHalif
jab tham gaya tufan to qadam ghar se nikala

ab kaifiyat o rang nazar aai jo duniya
mausam naya phir apne hi andar se nikala

aasar nazar aae na sairabi-e-dil ke
thak-haar ke sauda-e-numu sar se nikala