har rahguzar mein kahkashan chhoD jaunga
zinda hun zindagi ke nishan chhoD jaunga
main bhi to aazmaunga us ke KHulus ko
us ke labon pe apni fughan chhoD jaunga
meri tarah use bhi koi justuju rahe
az-rah-e-ehtiyat guman chhoD jaunga
mera bhi aur koi nahin hai tere siwa
ai sham-e-gham tujhe main kahan chhoD jaunga
raushan rahunga ban ke main ek shola-e-nawa
sahra ke aas-pas azan chhoD jaunga
phir aa ke bas gae hain barabar ke ghar mein log
ab phir 'amir' main ye makan chhoD jaunga
Ghazal
Har rahguzar mein kahkashan chhoD jaunga
Ameer Qazalbash