har qarz-e-safar chuka diya hai
dasht aur nagar mila diya hai
juz ishq kise mili ye taufiq
jo paya use ganwa diya hai
pahle hi bahut tha hijr ka ranj
ab faslon ne baDha diya hai
aabaadiyon se gae houn ko
sahraon ne hausla diya hai
diwar-ba-dast rah-rau the
kis ne kise rasta diya hai
bachhDa to tasalli di hai us ne
kis dhund mein aaina diya hai
main bujh to gaya hun phir bhi mujh mein
raushan tere nam ka diya hai
Ghazal
Har qarz-e-safar chuka diya hai
Jamal Ehsani