har qadam sail-e-hawadis se bachaya hai mujhe
kabhi dil mein kabhi aankhon mein chhupaya hai mujhe
aur sab log to mai-KHane se ghar lauT gae
mehrban raat ne sine se lagaya hai mujhe
har hasin anjuman-e-shab mujhe dohraati hai
jaane kis mutrib-e-ashufta ne gaya hai mujhe
sang-sazon ne tarasha hai mere paikar ko
tum ne kya soch ke patthar pe giraya hai mujhe
aane walon mein koi apna shanasa hota
surat-e-farsh-e-dil-o-dida bichhaya hai mujhe
kachchi diwaron ko pani ki lahar kaT gai
pahli barish hi ne barsat ki Dhaya hai mujhe
main jiya ishq ki ek zinda alamat ban kar
dastan-goyon ne raaton ko sunaya hai mujhe
Ghazal
Har qadam sail-e-hawadis se bachaya hai mujhe
Zubair Rizvi