اردو हिंदी
Har qadam sanpon ki aahaT aur main | Shaahi Shayari
har qadam sanpon ki aahaT aur main

Ghazal

Har qadam sanpon ki aahaT aur main

Swaleh Nadeem

;

har qadam sanpon ki aahaT aur main
aage pichhe sarsarahaT aur main

ek taraf chaDhte hue dariya ki sans
ek taraf jangal ki aahaT aur main

ganw ki pagDanDiyon se shahr tak
chehra chehra bokhalahaT aur main

ek chehra raushni sa zehn mein
band kamra jagmagahaT aur main

sard mathe par pasine ki tapish
shama ki lau thartharahaT aur main

ek adhure KHwab ki tabir dekh
ek pinjra phaDphaDahaT aur main

Dhalte suraj par hukumat sham ki
aaine par malgajahaT aur main