har qadam par nit-nae sanche mein Dhal jate hain log
dekhte hi dekhte kitne badal jate hain log
kis liye kije kisi gum-gashta jannat ki talash
jab ki miTTi ke khilaunon se bahal jate hain log
kitne sada dil hain ab bhi sun ke aawaz-e-jaras
pesh o pas se be-KHabar ghar se nikal jate hain log
apne sae sae sar-nahuDae aahista KHiram
jaane kis manzil ki jaanib aaj kal jate hain log
shama ke manind ahl-e-anjuman se be-niyaz
aksar apni aag mein chup chap jal jate hain log
'shair' un ki dosti ka ab bhi dam bharte hain aap
Thokaren kha kar to sunte hain sambhal jate hain log
Ghazal
Har qadam par nit-nae sanche mein Dhal jate hain log
Himayat Ali Shayar