اردو हिंदी
Har qadam par mujhe laghzish ka guman hota hai | Shaahi Shayari
har qadam par mujhe laghzish ka guman hota hai

Ghazal

Har qadam par mujhe laghzish ka guman hota hai

Urooj Zaidi Badayuni

;

har qadam par mujhe laghzish ka guman hota hai
chashm-e-saqi ki nawazish ka guman hota hai

ye hijabaat-e-tayyun mujhe manzur nahin
fikr-e-azad ko bandish ka guman hota hai

lutf-e-paiham na sahi jaur-e-musalsal hi sahi
har tawajjoh pe nawazish ka guman hota hai

un ke aage lab-e-izhaar pe hai mohar-e-sukut
ek KHamosh parastish ka guman hota hai

main qafas mein hun qafas pesh--e-nigah-e-sayyaad
par-e-parwaz mein jumbish ka guman hota hai

sirf tum dil ki tabahi ka sabab kya hote
baKHt-e-na-saz ki sazish ka guman hota hai

baat ye kya hai 'uruj' in ki har ek baat mein aaj
apni har tarz-e-guzarish ka guman hota hai