har qadam par hum samajhte the ki manzil aa gai
har qadam par ek nai darpesh mushkil aa gai
ya KHala par hukmaran ya KHak ke andar nihan
zindagi DaT kar anasir ke muqabil aa gai
baDh raha hai dam-ba-dam subh-e-haqiqat ka yaqin
har nafas par ye guman hota hai manzil aa gai
TuTte jate hain rishte joDta jata hun main
ek mushkil kam hui aur ek mushkil aa gai
haal-e-dil hai koi KHwab-awar fasana to nahin
nind abhi se tum ko ai yaran-e-mahfil aa gai
Ghazal
Har qadam par hum samajhte the ki manzil aa gai
Hafeez Hoshiarpuri