har-qadam marhala-e-sabr-o-raza ho jaise
zindagi marka-e-karb-o-bala ho jaise
yun guzar jate hain duniya se adam ke rahi
rah mein naqsh-e-qadam-e-rah-numa ho jaise
chup hue jate hain yun dekh ke surat meri
haal mera mere chehre pe likha ho jaise
is tarah kaT raha hun main shab-e-roz-o-hayat
har-nafas apne liye ek saza ho jaise
dasht mein jalti hain ta-hadd-e-nazar yun shamen
sar-e-har-KHar pe KHun-e-shohada ho jaise
rind jhijhke to bala-noshon ne mahsus kiya
mai nahin jam mein KHun-e-ghuraba ho jaise
yun shafaq-rang si hai aaj gulistan ki zamin
barahna-pa koi kanTon pe chala ho jaise
har zaban par mere miTne ke hain charche lekin
un ke nazdik to kuchh bhi na hua ho jaise
aaj is andaz se aai mujhe hichki 'ajiz'
bhulne wale ne phir yaad kiya ho jaise
Ghazal
Har-qadam marhala-e-sabr-o-raza ho jaise
Ajiz Matvi