har qadam marhala-e-dar-o-salib aaj bhi hai
jo kabhi tha wahi insan ka nasib aaj bhi hai
jagmagate hain ufuq par ye sitare lekin
rasta manzil-e-hasti ka muhib aaj bhi hai
sar-e-maqtal jinhen jaana tha wo ja bhi pahunche
sar-e-mimbar koi mohtat KHatib aaj bhi hai
ahl-e-danish ne jise amr-e-musallam mana
ahl-e-dil ke liye wo baat ajib aaj bhi hai
ye teri yaad hai ya meri aziyat-koshi
ek nashtar sa rag-e-jaan ke qarib aaj bhi hai
kaun jaane ye tera shaer-e-ashufta-e-mizaj
kitne maghrur KHudaon ka raqib aaj bhi hai
Ghazal
Har qadam marhala-e-dar-o-salib aaj bhi hai
Sahir Ludhianvi