har pari-wash ko KHuda taslim kar leta hun main
kitna saudai hun kya taslim kar leta hun main
mai chhuTi par gahe gahe ab bhi bahar-ehtiram
dawat-e-ab-o-hawa taslim kar leta hun main
be-wafa main ne mohabbat se kaha tha aap ko
lijiye ab ba-wafa taslim kar leta hun main
jo andhera teri zulfon ki tarah shadab ho
us andhere ko ziya taslim kar leta hun main
jurm to koi nahin sarzad hua mujh se huzur
bawajud us ke saza taslim kar leta hun main
jab baghair us ke na hoti ho KHalasi ai 'adam'
rahzanon ko rahnuma taslim kar leta hun main
Ghazal
Har pari-wash ko KHuda taslim kar leta hun main
Abdul Hamid Adam