har nazar intiKHab ho jae
aap apna jawab ho jae
phir KHayalon ki jannaten na rahin
to agar be-naqab ho jae
kahin aisa na ho ki dur-rasi
KHud nazar ka hijab ho jae
nashsha-e-zist ai maaz-allah
aur jab gham sharab ho jae
kam na ho lazzat-e-hayat agar
tera gham be-hisab ho jae
dekh le tu agar mohabbat se
zindagi kaamyab ho jae
Ghazal
Har nazar intiKHab ho jae
Syed Siddiq Hasan