اردو हिंदी
Har naqsh hai wajud-e-fana mere samne | Shaahi Shayari
har naqsh hai wajud-e-fana mere samne

Ghazal

Har naqsh hai wajud-e-fana mere samne

Nazeer Qaisar

;

har naqsh hai wajud-e-fana mere samne
hairan hun ye rang hai kya mere samne

ek shakl si hai meri tarah mere ru-ba-ru
ek harf sa hai mere siwa mere samne

gum-sum khaDi hai meri sada mere aas-pas
diwar ban gai hai hawa mere samne

khulta nahin ki aaina-e-kaenat mein
kya hai misal-e-aks-e-nawa mere samne

jangal ka wo safar bhi mubarak hua mujhe
jab chal raha tha mera KHuda mere samne

ek ajnabi sada si taaqub mein thi mere
dekha jo muD ke kuchh bhi na tha mere samne

ab sochta hun bikhra hua dasht-e-KHak mein
ye kaun mujh ko toD gaya mere samne

'qaisar' hua tha samna ek shakl se mera
phir us ke baad kuchh na raha mere samne