har naqsh-e-pa ko manzil-e-jaan manna paDa 
muddat ke baad jab bhi tera samna paDa 
aksar naqab-e-zabt hamein thamna paDa 
jab bhi fasil-e-shab ko hamein phandna paDa 
har bar bhulne ko ghamon ki aziyyaten 
har rishta-e-umid naya bandhna paDa 
har aarzu se hum ko mili taza zindagi 
har aarzu ka hum ko lahu chaTna paDa 
ki thi haram KHud-kushi mere KHuda ne kyun 
be-wajh zindagi ka safar kaTna paDa
        Ghazal
Har naqsh-e-pa ko manzil-e-jaan manna paDa
Kishwar Naheed

