har naqsh-e-nawa lauT ke jaane ke liye tha
jo bhul chuka hun wo bhulane ke liye tha
kuchh bhed zamane ke bhi mujh par na khule the
kuchh main bhi riya-kar zamane ke liye tha
kuchh main ne bhi be-wajh hansi us ki uDai
kuchh wo bhi meri jaan jalane ke liye tha
kuchh log jaziron pe khaDe the so khaDe hain
sailab safinon ko bahane ke liye tha
pyasa jo na hota to samundar se na milta
dariya jo meri pyas bujhane ke liye tha
girni hi thi ek roz ye diwar badan ki
ye rah ka patthar bhi haTane ke liye tha
sab meri udasi mein tujhe DhunD rahe the
hansna bhi mera tujh ko chhupane ke liye tha
ek lahr ki bas KHak uDane pe ba-zid thi
ek rang ki palkon mein sajaane ke liye tha
ek lamha-e-KHali ki sada sab ne suni thi
ek shor KHamoshi ko baDhane ke liye tha
KHira hain nigahen to na kuchh dekh sakengi
manzar jo yahan tha nazar aane ke liye tha
aap-apni jasarat se tah-e-ab hua hai
wo Dubne wale ko bachane ke liye tha
Ghazal
Har naqsh-e-nawa lauT ke jaane ke liye tha
Shamim Hanafi