har nai sham ye ehsas hua ho goya
mera saya mere paikar se baDa ho goya
tere lahje mein to thi hi teri talwar ki kaT
teri yaadon mein bhi ab zahar mila ho goya
pichhle mausam mein sabhi girya-kunan the magar ab
chashm-e-KHun-rang mein sailab ruka ho goya
chand nikla to meri zat ko andaza hua
us ne chupke se mera nam liya ho goya
chun liya main ne to phir apni mohabbat ka KHuda
us ko ab bhi hai guman mera KHuda ho goya
ek muddat se KHalaon mein thin aankhen raushan
ab ye aalam hai ki aankhon mein KHala ho goya
phul khilne ko to naqqash khile KHwab magar
mere zaKHmon ke chaTaKHne ki sada ho goya

Ghazal
Har nai sham ye ehsas hua ho goya
Naqqash Kazmi