har naghma-e-pur-dard har ek saz se pahle
hangama bapa hota hai aaghaz se pahle
dil dard-e-mohabbat se to waqif bhi nahin tha
jaanan tere baKHshe hue eazaz se pahle
shoalon pe chalati hai mohabbat dil-e-nadan
anjam zara soch le aaghaz se pahle
ab meri tabahi ka use gham bhi nahin hai
jis ne mujhe chaha tha baDe naz se pahle
shahin wo kahlane ka haqdar nahin hai
jo su-e-falak dekhe na parwaz se pahle
ab raaz ki baaten na bata de wo kisi se
ye KHauf nahin tha kabhi hamraaz se pahle
thi mir-taqi-'mir' ki nauhagari mashhur
'afzal' ki sisakti hui aawaz se pahle
Ghazal
Har naghma-e-pur-dard har ek saz se pahle
Afzal Allahabadi