اردو हिंदी
Har nafas murid-e-safar hain hum | Shaahi Shayari
har nafas murid-e-safar hain hum

Ghazal

Har nafas murid-e-safar hain hum

Raza Azimabadi

;

har nafas murid-e-safar hain hum
goya dukkan-e-shishagar hain hum

shama ke gah taj-e-sar hain hum
gah patinge ke baal-o-par hain hum

ishq ne jab se ki hai dil kar ni
barq hain shoala hain sharar hain hum

rang-e-rukHsar KHub-ruyan hain
aah-e-ushshaq ke asar hain hum

hum hain nairangi-e-bahaar ke rang
naKHl-o-barg-o-gul-o-samar hain hum

sajda-gah hain tamam aalam ki
kis ki ye KHak-e-rahguzar hain hum

ahl-e-dil apne rahte hain mushtaq
goiya wasl ki KHabar hain hum

haal KHat-e-shikasta mein likkha
yani us se shikasta-tar hain hum

dushmani hum se ho nahin sakti
tujh se sharminda kina-war hain hum

jab se dekhi hai us ke ghar ki rah
aur KHana-KHarab-tar hain hum

rashk mein shor-o-shar se hain lachaar
kuchh farishte nahin bashar hain hum

us ne ahwal puchha hum mar gae
kis qadar qissa-muKHtasar hain hum

kya karen dil nahin hai pas 'raza'
sabr mein warna be-jigar hain hum