اردو हिंदी
Har nae sal naya peD laga deta hun | Shaahi Shayari
har nae sal naya peD laga deta hun

Ghazal

Har nae sal naya peD laga deta hun

Mohsin Asrar

;

har nae sal naya peD laga deta hun
aur be-KHanuman chiDiyon ko bata deta hun

roz sunta hun main bargad se purane qisse
aur use apni kahani bhi suna deta hun

roz ek daur ki aawaz Thaharti hai yahan
aur main aawaz mein aawaz mila deta hun

mangne qarz nikal jata hun ham-sayon se
aur bistar pe sawali ko liTa deta hun

dil ko puri tarah hone nahin deta barbaad
dukh ke phailaw ko main KHud hi ghaTa deta hun

chahta hun teri taswir banana lekin
main kisi aur ki taswir bana deta hun

jab nazar aata hai apne siwa rah-gir koi
ek diya aur sar-e-rah jala deta hun