اردو हिंदी
Har nae moD dhup ka sahra | Shaahi Shayari
har nae moD dhup ka sahra

Ghazal

Har nae moD dhup ka sahra

Farooq muztar

;

har nae moD dhup ka sahra
karwan-saz rah gae tanha

saya-e-shaKH-e-gul se na-manus
wo koi paltu kabutar tha

wo koi reshmi libas mein thi
main koi phul tha jo murjhaya

chandni chaar din bahut soi
panchwen din KHumar TuT gaya

machhliyan KHud-fareb hoti hain
ek machhere na tabsira likkha

wapsi ab gharon mein na-mumkin
dur tak be guman sannaTa

aasman soch kar uDan bhari
chaar samton se ek KHala ubhra

kashtiyan sahilon pe Dub chalin
wo khule paniyon mein kud paDa

raushni ke halif bhugtenge
tirgi ki jabin par likkha